Ek jagah hai door si... Pahado ke bhi paar Sundarta aur shaanti ki rehti hai hamesha bahaar... Chota sa ek ghar bhi hai... Safed rang ka saja hua Ek bageecha charo taraf Phoolo se bhara hua Ek ladki hai khoyi si Baithi hai jaise intezaar mein Ek ladka hai chupa hua Shararat ki muskaan liye hue Baadal kadke aasmaan mein baarish ke aasaar hain 'Ab to aa jao ghar wapas' Dil se yahi pukaar hain Ye chota sa sapna dekhte Badi hui kayi ladkiyan Sapne shayad wohi hai aaj bhi Bas badli thodi Khidkiyan Ab ghar kahin door nahi Posh locality mein hota hai Safed rang to hoga hi Marble se jo banta hai Phool to hi-maintanence hain Lawn ka sapna bekaar hai Multiplex kitne door hain Gym banna hai ya tyaar hai? Ladki yaha bhi khoyi hai Shaam ki tyaari mein Strapless pehnu ya spagetti Kitni pareshaan bechaari hain Ladka hai ghoom raha Paise ikkethe karne hain Show-off karna zaroori hai ladki ko impress karne mein Ab baadal ki chinta nahi Sabke chalte hain gaadi mein Baarish bas ek pain hi h...
In the depths of winter... I discovered in me incredible summers!