Jindagi ki daud bhaag mein Khud ko dafan kar rakha tha
Har cheez yaha ab ‘chalti’ thi Har jazbaat baccha ke rakha tha
Ek din doosre ke jaisa hi tha, Bas sochna hi to chhoota tha
Hanso muskurao kuch kaho kabhi, Baaki sab bhula hi rakha tha
Aaj ataanak ek mod pe Apne kal se mulakaat hui
Itna dhakka laga dekh ke Kab kaise ye baat hui
Kal ne aaj se ya poocha ’Tu kaun hai, hai kya naam tera?’
Aaj itna hairaan sa tha ’ye kaun hai, kya lagta hai mera?’
Bola ‘Kya sach mein hum do ek hi hain Ek sikke ke do pehlu?
Ya phir tu kuch aur hai shayad Mujhse hai anjaan jo tu?’
Kal bola – ’hoon main bhi hairaan Tujhsa to kabhi na ban na tha
Kahan gayi woh masoomiyat Jispe naaz main karta tha?’
‘Kaise main batayoon dost Kya kya maine hai dekh liya
Ab to apne hi saaye ka kal hoga na saath hai ye soch liya
Is duniya ke dard se Khudko bacha ke rakha hai
Dukh se chupne ki hod mein hi Dil ki chuppi ka rasta dhoondha hai
Na hoga ehsaas aur na hi dard, ab sab kuch ’theek hi’ lagta hai
Dimaag se bas kaam liya Iss dil mein waise bhi kya rakha hai’
Kal bola – ’ja bas aur na bol, tujhpe sharam si aati hai
Tu to kabhi darpok na tha, ye kya hui barbaadi hai
Dil na hoga to pyaar nahi, pyaar bina duniya hi kya
Aise nahi karte hai dost, bin dard ke jeena hi kya
Jeena hai to aise ji, ki jab maut aaye tujhe
Tu soche wah kya khub jiya – sab kiya jo karna tha mujhe’

Comments