Apni zameen main hoon khud
Aasmaan bhi main
Apni pyaas bhi main hi hoon
Uss pyaas ki raahat bhi main
Khud ki khushi to hoon hi
Apna hi hoon gam bhi
Rakshak main hi to hoon apni
Aur shayad apni hi bhakshak bhi
Bhanwar mein fassi bhi main hoon
Bachne ka sahara bhi
Iss safar ka aagaaz bhi main hoon
Aur safar ka anjaam bhi
Dhoop se tadpana bhi mujhe hai
Thandak ki chaaya bhi main
Raste ki thokar bhi main hoon
Sahara liye ek haath bhi main
Raat ka andhera hoon main
Chandani ki roshni bhi hoon
Savere ki thandak hoon main
Aur dhoop ki tadpan bhi hoon
Main hi manzil hoon khud apni
Main hi hoon apna safar bhi
Main hi karwaan iss safar ka
Uss karwaan mein main tanha bhi
Main hi khud ki hamsafar hoon
Hoon apni hi saheli bhi
Kab kaise main ban gayi
Khud apni hi parchhayi bhi…
Aasmaan bhi main
Apni pyaas bhi main hi hoon
Uss pyaas ki raahat bhi main
Khud ki khushi to hoon hi
Apna hi hoon gam bhi
Rakshak main hi to hoon apni
Aur shayad apni hi bhakshak bhi
Bhanwar mein fassi bhi main hoon
Bachne ka sahara bhi
Iss safar ka aagaaz bhi main hoon
Aur safar ka anjaam bhi
Dhoop se tadpana bhi mujhe hai
Thandak ki chaaya bhi main
Raste ki thokar bhi main hoon
Sahara liye ek haath bhi main
Raat ka andhera hoon main
Chandani ki roshni bhi hoon
Savere ki thandak hoon main
Aur dhoop ki tadpan bhi hoon
Main hi manzil hoon khud apni
Main hi hoon apna safar bhi
Main hi karwaan iss safar ka
Uss karwaan mein main tanha bhi
Main hi khud ki hamsafar hoon
Hoon apni hi saheli bhi
Kab kaise main ban gayi
Khud apni hi parchhayi bhi…
Comments