Apni zameen main hoon khud Aasmaan bhi main Apni pyaas bhi main hi hoon Uss pyaas ki raahat bhi main Khud ki khushi to hoon hi Apna hi hoon gam bhi Rakshak main hi to hoon apni Aur shayad apni hi bhakshak bhi Bhanwar mein fassi bhi main hoon Bachne ka sahara bhi Iss safar ka aagaaz bhi main hoon Aur safar ka anjaam bhi Dhoop se tadpana bhi mujhe hai Thandak ki chaaya bhi main Raste ki thokar bhi main hoon Sahara liye ek haath bhi main Raat ka andhera hoon main Chandani ki roshni bhi hoon Savere ki thandak hoon main Aur dhoop ki tadpan bhi hoon Main hi manzil hoon khud apni Main hi hoon apna safar bhi Main hi karwaan iss safar ka Uss karwaan mein main tanha bhi Main hi khud ki hamsafar hoon Hoon apni hi saheli bhi Kab kaise main ban gayi Khud apni hi parchhayi bhi…
In the depths of winter... I discovered in me incredible summers!