Kabhi jab mudke dekha zindagi ko Jitna socha tha jyada hi paaya... Aansoo the to hansi bhi thi Dhoop thi to saath tha saaya Pyaar mila aur chhuta bhi Jeevan mein kuch seekha bhi Chot lagne se dard to hota hai Par marham lagane waalo se pehchaan bhi Dosto ko bhi dhoondhna padta hai Apne aap kuch hota nahi Kisi aur ko dosh dena aasaan hai Khud mein jhankana aasaan nahi Kismat sabki ek hi hai Kuch hi log uska kuch kar lete hain Apne jeevan mein khud hi Pyaar aur khushi dhoond lete hain Itni sense of humor dena bhagwaan Aakhri saans jab aaye mujhe, Ye soch ke hans saku main Ki ab to saamne se daant paoongi tujhe! ;-)
In the depths of winter... I discovered in me incredible summers!