Aaj bahut dino ke baad..
Aaye hain woh din yaad..
Jino dino hum masoom the...
Aur jindagi thi aabaad
Duniya thi apni mutthi mein
Sab log apne hote the..
Bas sochne ki deri thi
Sab sapne sacche lagte the
Masoom se dil ki baatein
Dil se hi main bhi sochti thi
Kisi ka bura sochne ka
Na mann tha na hi zaroorat thi..
Phir aaya ek woh daur
Jisne sab kuch badal diya
Dil ko dimaag ne aur Jabaan ko
Samajhdaari ne nigal liya
Ab kuch bhi kehne se pehle
Dimaag aur dil ladte hain
Doosro ki soch pe kya karu vishwaas
Jab khud ke kadam behekte hain
Dil kehta hai sab theek hi hoga
Bas karne ki hi deri hain
Dimaag lekin hansta hai
Ye kaisi nasamjhi hain
Samajh saath hi rehti hai
Phir kyo dil khaali lagta hai
Kuch badalega jaldi hi
kyo ye ummeed sa karta hai
Kya aayega ek din woh bhi
Jab dil dimaag phir ek honge
Jis bhi taraf main jaoongi
Ujaale aur sacche sapne honge
Tab tak bas aise hi chalega
ye kashmakash zindagi aur sapno ka
Jab bhi mauka milega mujhe
Jeeongi ek-ek pal jindagi ka!!
:-)
Comments