Ek jagah hai door si...
Pahado ke bhi paar
Sundarta aur shaanti ki
rehti hai hamesha bahaar...
Chota sa ek ghar bhi hai...
Safed rang ka saja hua
Ek bageecha charo taraf
Phoolo se bhara hua
Ek ladki hai khoyi si
Baithi hai jaise intezaar mein
Ek ladka hai chupa hua
Shararat ki muskaan liye hue
Baadal kadke aasmaan mein
baarish ke aasaar hain
'Ab to aa jao ghar wapas'
Dil se yahi pukaar hain
Ye chota sa sapna dekhte
Badi hui kayi ladkiyan
Sapne shayad wohi hai aaj bhi
Bas badli thodi Khidkiyan
Ab ghar kahin door nahi
Posh locality mein hota hai
Safed rang to hoga hi
Marble se jo banta hai
Phool to hi-maintanence hain
Lawn ka sapna bekaar hai
Multiplex kitne door hain
Gym banna hai ya tyaar hai?
Ladki yaha bhi khoyi hai
Shaam ki tyaari mein
Strapless pehnu ya spagetti
Kitni pareshaan bechaari hain
Ladka hai ghoom raha
Paise ikkethe karne hain
Show-off karna zaroori hai
ladki ko impress karne mein
Ab baadal ki chinta nahi
Sabke chalte hain gaadi mein
Baarish bas ek pain hi hai
Romantic Date ki azaadi mein!
Comments
If you like realism in poetry, hope you have heard Rabbi's Avengi Jaa Nahi
I suggest next time you take a photograph make sure that you stop the car.. :-). .