Kabhi jab mudke dekha zindagi ko
Jitna socha tha jyada hi paaya...
Aansoo the to hansi bhi thi
Dhoop thi to saath tha saaya
Pyaar mila aur chhuta bhi
Jeevan mein kuch seekha bhi
Chot lagne se dard to hota hai
Par marham lagane waalo se pehchaan bhi
Dosto ko bhi dhoondhna padta hai
Apne aap kuch hota nahi
Kisi aur ko dosh dena aasaan hai
Khud mein jhankana aasaan nahi
Kismat sabki ek hi hai
Kuch hi log uska kuch kar lete hain
Apne jeevan mein khud hi
Pyaar aur khushi dhoond lete hain
Itni sense of humor dena bhagwaan
Aakhri saans jab aaye mujhe,
Ye soch ke hans saku main
Ki ab to saamne se daant paoongi tujhe!
;-)
Jitna socha tha jyada hi paaya...
Aansoo the to hansi bhi thi
Dhoop thi to saath tha saaya
Pyaar mila aur chhuta bhi
Jeevan mein kuch seekha bhi
Chot lagne se dard to hota hai
Par marham lagane waalo se pehchaan bhi
Dosto ko bhi dhoondhna padta hai
Apne aap kuch hota nahi
Kisi aur ko dosh dena aasaan hai
Khud mein jhankana aasaan nahi
Kismat sabki ek hi hai
Kuch hi log uska kuch kar lete hain
Apne jeevan mein khud hi
Pyaar aur khushi dhoond lete hain
Itni sense of humor dena bhagwaan
Aakhri saans jab aaye mujhe,
Ye soch ke hans saku main
Ki ab to saamne se daant paoongi tujhe!
;-)
Comments
ek khaata hum bhi kholenge
puchenge usko or uski har dane ko tolenge
kuch ka shukriya aur kuch pe gam ka izhaar karenge
Jab milenge bhagwan se
ek khaata hum bhi kholenge... "
PS: Thats how inspiring this post was.